powered by Answers.com
Spring of Thoughts: January 2008

Friday, January 18, 2008

Deobhumi Rishikesh

22.06.2007

Din ki shuruwat huyi...Rishikesh ka saundarya aankhon me sama gaya...Wah!!! Prakruti ka anupam tohfa...aap bhi iska luft uthaiye...niche ki tasvir dekh kar... :-)



Fatafat ready huye...humari School jisme hum ruke the wo Ram Jhule ke pass hi thi...Ram Jhula paar karke...waha ki ek tapri pe chay-suwali ka maja liya...

Iske pashchaat humne Geeta Bhawan...Parmarth Niketan...Vanprasth Aashram...Swargashram...ye mandir dekhe...

Baba Bhuthnath ka mandir kuch uchai pe tha...to hum log waha gaye nahi...Parmarth Niketan me bani 12 avtaaron ki jhakiyan evum kaanch ke mandir manmohak lage...

Lunch...Chotiwala me kiya...Chotiwala naam ka bahut hi badhiya restaurant hai waha...yahaka vishesh aakarshan...restaurant ke baahar baithne wale Chotiwale hai...



Lunch ke pashchaat...Neelkanth Mahadeo ke liye nikle...ye kuch 10-12 km ki duri pe hai...Uchi uchi pahadiyon ke bich Bholenath ka puratan mandir...karibi logo ki bahut shraddha hai uspar...

Neelkanth ke dwar pe mattha tek kar nikle...taxi ke sabhi log aane baki the...pattharon par baithke intezaar jari tha...Neelkanth Mahadeo hum log ek local taxi se gaye the...

Wahase lautne ke baad...Laxman jhula...11 manjila mandir dekha...Mandir ke bhitar hum log gaye nahi...bahut thake huye jo the...

Lautkar packing ki...mai aur Papa...bus stop jakar...Mathura ki bus ke liye inquiry karke aaye...

Parmarth niketan dwara ki jane wali Ganga Arti ke baare me Samta Mausi se kafi kuch suna tha...uske darshan lene baki the...Parmarth niketan pahuche...Nikhil ka Gangaji me nahane ka bahut mann tha...usne apni jidd puri ki...

Parmarth Niketan ke saare anuyayi aarti ke pahle bhajan-kirtan karte hai...Yagya bhi kiya jaata hai...hawan ke pashchaat aarti ki jaati hai...visheshta to iss baat ki hai ke Pancharti har aadmi ke haath me di jaati hai taki wo bhi apni Gangaji ki aaradhna kar sake...bahut aanand aaya aarti karke...




Aarti ke baad...school pahuche...hum log school me hi ruke the...luggage liya...bus stop pahuche...Mathura humara intezaar kar raha tha......

Thursday, January 17, 2008

DevBhumi Uttaranchal

21.06.07

Subah jaldi ready hoker ke breakfast kiya...fatafat Indica me sawar huye...Indica pahlese hi book ki huyi thi...ab sidhe Haridwar pahuchna tha...

Delhi ke traffic ko paar kiya...lekin Faridabad tak gadi 30km/hr ki raftar se jyada chal nahi saki...road pe traffic bahut tha...

Jaise hi Uttaranchal ki shuruwat huyi...mausam kuch thanda lagne laga...pure khet me lahlahati fasal manmohak lag rahi thi...hawa ek ajeebsi khushboo liye thi...

Haridwar kuch 10 km ki duri par tha...meri najar ek building pe padi...naam tha Patanjali Yoga Sansthan...Mummy-Papa bole nahi rukte...mai bola...Chalo dekh lenge...aakhir RamdeoBaba ka naam bahut famous hai...



Patanjali Institute...bahut hi badi jagah me faila hua tha...puri jagah me lawn, fountains, statues building ki shobha badha rahe the...Patanjali ki Vishal murti darshako ka man moh leti thi...

Institute me marijon ko free me check kiya jata hai...dawai ke paise lagte hai...

Yaha se nikalkar ab Haridwar pahuchna tha...

Har ki Paudi pahuche...Ganga maiyya ke darshan kiye...Ganga Mandir me puja ki...

Haridwar me...Mansa Mata aur Chandika Mata ke mandir pahadi pe bane hai...yaha jane ke liye Udan Khatolon ki madad li ja sakti hai..



Humne...Rs. 152 me combo pass li...jisme dono mandir Udan Khatolo me baith ke ja sakte hai...aur to aur 2 mandir ke bich transportation bhi ho jata hai...Udan Khatole ki service Usha Breko Ltd. dwara di jati hai...humne 2no mandir ke darshan kiye...

Haridwar me...aur bhi kai mandir the...jaise Pawan Mandir...Bharat Mata mandir...ShantiKunj...lekin Gangaji ki aarti ka samay ho chuka tha...to hum log sidhe Har ki Paudi pahuche...



Sachmuch...itna Vishal Jansamuh...eksaath...haath me Deep liye...Gangaji ki aarti kar raha...ye drishya bahut hi lubhawna lagta hai...humne bhi aarti ki...apne apne deepak ko Gangaji me bahav diya...

Haridwar se Rishikesh kuch 10-15 km ki duri par hi hai...waha jake rukna tha...Hari ke Dwar se nikale...Rishikesh pahuche...ek school me room liya...school ka naam tha...Aadarsh Sanskrit Vidyalay...undino...chhuttiyan chal rahi thi...isliye schoolo me room diye jate the...

Bahar ke restaurant me dinner kiya...aur so gaye........

Wednesday, January 16, 2008

Ab Delhi dooor nahi...

Delhi pahuchte hi...Paharganj ki Ajanta Hotel me room li...fresh huye...Paharganj me hotels ki kami nahi hai...pure area me hotel hi hotel hai...

Pass hi ke ek restaurant me jake dinner kiya...phir so gaye....

20.06.07

Subah jaldi jaag kar ready huye...waise to Delhi pahle bhi ghuma hua tha...lekin naye points dekhne the...Papa aur maine jaker, Delhi site-seeing ke liye Indica book ki...

Break fast kiya...aur Indica me sawaar hoke...nikal pade Delhi dekhne...

Delhi bahut garm thi...subah 10 baje bhi garmi ke mare bura haal ho raha tha...

Ee hai Delhi nagariya Tu dekh babua...

Sabse pahle pahuche...ISKCON temple...mujhe ISKCON temple bahut hi pasand aate hai...khass kar wahaki murtiyan...bahut sajeev lagti hai...

Yaha ke animation show ke baare me Reetesh se kaafi kuch suna tha...wahapar Geetasaar par aadharit Vaidic Pradarshani bahut hi sachchi evum manohari pratit huyi...ticket tha Rs. 40...

Iske pashchaat...hum log pahuche Metro train ke Appughar stop pe...AppuGhar humne last Delhi visit me dekha hi tha...driver ne hume samajha diya tha...ke humko Zandewalan stop tak jana hai...waha utarkar Vishal Bajarang Murti ke pass rukna hai...

Metro train bahut hi pyaari lagi...fully automated train...har station pe apne aap doors khulte aur band hote the...station aane se pahle suchna di jaati thi...ke agla station kaunsa hai evum station left/right side me hai...

Zandewalan station ke pass...ek Bajarangbali ki Vishal murti hai...uske darshan kiye...usi murti ke andar aur mandir bane hai...

Uske pashchaat...karol bagh pahuche...waha ke ek restaurant me lunch kiya...Karol bagh bahut hi bada market hai...waha se sab bachchon ke liye school/tution bags kharide...yaha har badi/chhoti dukan me bargain hota hai...

Ek majedar wakya sunata hoon...Mummy ek imitation jewelry shop gayi...waha chudiyan dekhi...Mummy ko wo pasand to aayi...lekin Mummy ne socha ke achchi niklegi ya nahi...to nahi leti...chudiyon ka rate Rs 600 tha...to Mummy ne Rs. 400 me hi maanga...yah sochkar ke wo nahi dega...lekin wo shopkeeper Rs.400 me dene me ready ho gaya... :-) ...phir kya tha...Mummy ne Rs. 400 ka risk le hi liya...

Ab hume jana tha...Akshardham temple...yaha par photography allowed nahi hai...isliye i don't have any photographs...

Akshardham temple...bahut hi Vishal hai...Swami Narayanji ke jeevan par aadharit vividh karyakram bhi yaha pesh kiye jaate hai...yaha ka pramukh aakarshan Musical Fountains hai...mandir me entry to free hai ...lekin waha ke karyakram dekhne ki alag alag tickets hai...

Akshardham se lautkar...hum phir pahuche Paharganj...Hotel Ajanta se hum subah hi check out kar chuke the...iss baar Hotel Maharani me room liya...raat bhi ruk ke subah Haridwar-Rishikesh ki or jana tha...

Saturday, January 12, 2008

Jaipur ki Rahon par...

19.06.2007

Subah jaldi uthakar...phataphat sab log ready huye...Khatu Shyamji ki Shringar aarti ke darshan jo karne the...Aarti ke darshan kiye...kitna sunahara mauka tha...iss baar
Khatu Shyamji ki Shayan evum Shringar in dono aartiyon ke darshan huye the...

Mandir ke bahar aa kar...Tea-Coffee li...aur chal diye Jaipur ki or...car me pura luggage pahle hi saja liya tha...

Waise to Jaipur kai baar ghuma hua tha...lekin phir bhi in 5-6 salon me jo kuch naya bana hoga wo dekhna tha...aur thodisi shopping bhi karni thi...

Jaipur pahuchte hi...sabse pahle Akshardham (Swami Narayan Mandir) dekha...ye Vishal evum Khoobsurat mandir, Jaipur ke Vaishali area me Swami Narayan Trust ne hi banwaya hai...



Iske pashchat hum logone...Birla Mandir...Motidungri ke Ganeshji...HawaMahal (baharse)...Galtaji...Govindji ka Mandir dekha...

Govindji ke Mandir ke pass bane ek restaurant me lunch liya...iske baad...Baapu Market...Johari Market...Badi Sadak Market dekhe...Mummy ne Bapu Market se 2 saareeyan li...aur Nikhil ke liye 2 dress...No dress for me!!! :-(

In marketon me bani saari dukane Pink color ki hi hai...isiliye Jaipur ko Pink City bhi kaha jata hai...

Ab bhi humari train ko bahut waqt tha...to humne bacha samay Kanak Vrindavan Gardan me bitane ka socha...waha jakar dekha...to aise laga...ye koi gardan nahi balki lawn se bhi battar jagah hai...upar se Suraj to qahar dhha hi raha tha...

Train ke samay ke thik 1:30 ghante pahle hum log nikle...raste me Signal pe bana Peacock garden dekha...jo Kanak Vrindavan se bhi HaraBhara pratit hua...

Jaipur me dekhne layak anya sthaan...Amar fort...Jantar Mantar...Craft Museum...Nehru Rose Garden...Albert Museum.....

Friday, January 11, 2008

Devtaaon ke Dwar

18.06.2007

Subah 6 baje Mummy ne hum sab ko jaga diya...subah mataji ke darshan jo karne the...fatafat hum sab taiyyar huye...aur mataji ke charno me pahuch gaye...

Hum Teri Sharan me aa gaye...

Aarti ki taiyyari chal rahi thi...aarti huyi...uske paschat hum logo ne Mangal path kiya...Ghee-Chawal ka prasad liya...

Uske baad...apni car (are bhai...bhade ki!!!)...me baithe...aur Kajal Shikhar ki or chal diye...ab kajal shikhar tak car chali jati hai...8-10 saal pahle to puri pag-
dandiya chadh ke jana hota tha...

Apne bhai se jhagda hone ke baad...Mataji yaha aakar khub roye the...uss samay unki aankhon se kajal nikla tha...is liye is jagah ko...Kajal Shikhar kahte hai...



Kajal shikhar...se kuch duri pe JeenWaas hai...waha bhi gaye...waha par bani jhopdiyon me photography ki...



Uske pashchaat...niche aaker Chay-coffee-suwali ka luft uthaya...apna saaman gadi me dala...aur thik 8:45 pe Salasarji ke liye prasthan kiya...

Salasarji pahuchne ke baad...sarvapratham darshan liye...phir Samosa-Kachaudi se apni bhuk ko shaant kiya...saath me Nimbu ki shikanji to thi hi...

Wahase nikalkar...hum log 2 Jati Balaji pahuche...darshan kiye...aur phir pahuche Dhandhan...Dhandhan Mamaji ke kuldevi ka sthaan hai...Tida-Gela maiyya ye 2 bahano ka
mandir hai...Mandir ke darshan leke hum logon ne lunch kiya...lunch ka menu tha...Bhendi-Aloo-Baigan ki sabjiya...aur roti ke saath papad...Dhandhan me Mor Darshan kiye...ek kamra liya aur dophar ki neend li...

Uske pashchaat...hume Jhunjhanoo pahuchna tha...Jhunjhanoo me darshan kiye...tat pashchaat Petis+Panipuri+IceGola ka aanand uthaya...(aap ye to nahi soch rahe na...ke hum log kitna khate the...???)...




Jhunjhanoo se nikle...ab Khatu (Shyam baba ke dware) pahuchna tha...

Driver sahab ka swabhav achchha tha...Khatu ke raaste me padne wale 2 mandiro...Ghodiwara Balaji mandir evum Siddheshwar Mahadeo mandir ke darshan unhone swatah karwaye...

Khatu pahuchne ke baad...Shyam baba mitra mandal ki dharmshala me ek room liya...apna pura luggage car se utar kar room me rakha...aur phir darshan ke liye nikal
pade...kitna sunahara mauka tha...Shayan aarti chal rahi thi...aarti huyi...darshan kiye...bahar aaker ice cream khayi...khane ke liye pet me jagah to thi hi nahi...room pe bistaro pe pad gaye..........

Thursday, January 10, 2008

Jai Jaipur

17.06.2007

Itarasi se nikale...phir raat to ho hi rahi thi...sabhi ne apni apni berth lapki...aur so gaye...

Subah Kota station pe chay-dudh liya...apne pass ki Suwali...Chuda...wagairah ka aanand liya....train late pe late hoti hi ja rahi thi...

Aakhir Jaipur ne hume darshan de diye...dopahar 1 baje hum logo pahuche...pure 7 ghante late...

Jaipur station ke retiring room me hi hum log fresh huye...station ke pass ke restaurant se mai aur Papa jaker lunch ka parcel leke aaye...menu tha...Dalfry...Kaju Curry...Raita...aur haan...rotiyan aur papad bhi the...

Ek Indica (Swadeshi) hire ki...aur nikal pade...

Sabse pahle hum log pahuche Dixitji ke yaha...we Jeenmataji ke param bhakt hai...unhone Jeenmataji ka mandir Jaipur me banwaya hai...kai baar Deepak chacha ka unse phone pe wartalap hua hai...wo humara intezaar hi kar rahe the...




Panditji apne bachchon ke saath...

Unse baat chit ki...bade hi nek aadmi malum pade....4 baje mandir ke pat khule...darshan...pooja ki...wo bole prasadi (bhojan) liye bagair nahi jane dunga...phir kya tha...wohi ruke rahe...

Shaam me aarti hui...uske baad prasadi li....aur phir unse bida li...hume Jaipur se Jeenmata ji ke dwar pahuchna tha...raat me thik 10:30 pe hum log Jeenmata pahuche...dharmashala me room liya...aur thodi der baad so gaye....

My friends' blogs Spring of Thoughts Dreams of Life Amazing facts