powered by Answers.com
Spring of Thoughts: A Movie Review : Lage Raho Munnabhai

Sunday, September 10, 2006

A Movie Review : Lage Raho Munnabhai


Good Morniiiiiiiiiiiiiiiiiiiing, everybody...

Kya hua...? Abhi morning nahi hai kya...? Agar ho to koi problem nahi...Agar nahi ho to maaf kar dena bhai...Woh kya hai na...apun abhi abhi ...Lage Raho Munnabhai dekh kar aa rahela hai...jiske karan apun ki waat lag gayi hai...boleto...durgati ho gaela hai...durgati boleto hriday parivartan...Are sala...apun to Munnabhai ke mafik...tapori bolne laga...

Lage Raho Munnabhai...dekh kar aa raha hoon...Mangla se...3:30 ka show tha...with Hrishikesh...my all time favourite movie partner...
Socha...movie ka ek bhi scene dimag se utarne se pahle use apne shabdo mai kaid karlu...

Good Morniiiiiiiiiiiiiiiiiiiing, Mumbai...ke saath hi Miss Vidya Balan ki fans list me ek naam aur jud gaya...Aap soch rahe honge ke ye Good morning ka chakkar kya hai...iske liye aapko Lage Raho MunnaBhai dekhni hogi...
Dekhna chahoge unko...
http://www.mahiram.com/photos/showgallery.php?cat=1460

Mujhe Kissing Car kab milegi....???

Bada lajwab concept hai...kissing car ka...
Humko mil gayee ek kissing car...
Back seat pe ji bhar ke kiya pyaar...
Kuch samjhe...mamu...?

Janhavi, Muraliprasad Shama aur Victor ke saath jo scene hai...woh kafi touching ban chuka hai...vada raha...woh aapko jarur rulaega...

Movie ke promos me aapne suna hoga...This time they are not alone...
Unke saath hai Marathi ChitraJagat ke mashahoor Dilip Prabhavalkar...

Wakai...is movie me Khushi hai...Ghum hai...aur Moozik bhi hai...ha...
Pal pal pal...ye song wakai bhaut hi pyaara ban pada hai...

Ek baat jarur kahna chahunga...is movie ne prove kar diya hai...ke agar aapke pass concept hai...to Foreign locations...bade bade Dress Designers...Naami kalakar...in sab ki koi jarurat nahi hoti...mera ishara aap samajh rahe honge...

Sahi mayno me...Bollywood me pahli baar koi itna perfect Sequel bana hai...Aapko Doctor munna ki yaad jarur aaegi...Wakai...
Ek kahani khatam to duji shuru ho gayi mamu...

Dhai ghanto ka samay Taliya bajate bajate kaise bitega...aapko pata bhi nahi chalega...

Ho sakta hai theatere ke bahar aap gungunate nikle...
Samjho Ho Hi Gaya.....

1 comment:

Anonymous said...

Hey,I havent seen the movie,so wont suggest for any improvements
but anyways,I liked the way u described it.....
and I found ur way of writing blogs very interesting

good,keep it up!!!!!!!
n keep writting...............

My friends' blogs Spring of Thoughts Dreams of Life Amazing facts