Friends,
Because of some technical problem, I needed to change my blog URL...so I copied all the posts from this one to the newer one....
New link is ... http://luckyduckwrites.blogspot.com
Wednesday, February 20, 2008
New link to my blog
Posted by
amol
at
5:59 AM
40
comments
New link to my blog
Friends,
Because of some technical problem, I needed to change my blog URL...so I copied all the posts from older one to the newer one....
New link is ... http://luckyduckwrites.blogspot.com
Posted by
amol
at
5:59 AM
1 comments
Wednesday, February 13, 2008
Aa ab Laut Chale
Ek ke baad ek station aate gaye...raat ho gayi...so gaye...
Subah 9 baje Bhusawal aaya...Papa, Mummy aur Nikhil utare...inka Bhusawal se Akola ka reservation Maharashtra Express se tha...mujhe Goa Express se hi Pune tak jana tha...
Sab se vida li...train nikal padi...aage ka safar akele hi tay karna tha...
Goa Express bahut hi fast hai...Daund station pe maine ek novel liya...LoveStory by Erich Segal...bahut hi famous novel hai...Novel padhte padhte Pune kab aaya pata hi na chala...
Station se Kothrud jane wali PMT pakdi...Kal se wahi zindagi phirse shuru hone wali thi...9:30 pe office...aur wapsi kab hogi...iska pata nahi...kabhi 8 to kabhi 9 to kabhi 11 baje....
Sachmuch...tour bada hi majedar raha...koi bhi taklif nahi hui thi kisi ko...nahi koi nuksan hua...haste khelte sab kuch dekhna ho gaya...kai dino se planning chal rahi thi...bahut maja aaya...... :) :) :)
Posted by
amol
at
4:25 AM
0
comments
Hujur...Wah! TAJ!!! Boliye
25.06.07
Subah ready huye...luggage pack kiya...Phogla aashram me nirantar path karne wali Matao ke darshan kiye...aur aashram se vida li...
Taxi me baithke...Mathura aaye...hume Agra jana tha...pahle humne bus se Agra jane ka socha tha...lekin taxi me baithe ek Kakaji ki salah humne mani...unke mutabik kuch hi der me Tufan mail hai...wo bhi ussi se Agra ja rahe...
Humara unluck usdin joro par tha...train bahut late thi...train ka intezaar kiya...ticket to hum pahle le hi chuke the...train aayi...hum logo ke pass luggage aur train ki bhid ke kaaran hum General boggie me nahi chadh paye...ek sleeper me hum sabhi sawar huye...
Maine kaha na unluck joro pe tha...1 ghante ke safar me bhi...hum logo ko squad ne pakad liya...fine bharna pada...rakam to mujhe yaad nahi...
Prepaid taxi leke hum log Agra bhraman karne nikal gaye...
Sabse pahle hum pahuche...Lal Kila...
Tez dhup me ghum rahe the...jaan pani pani ho rahi thi...
Lal Kila me ek khidki hai...wahase Taj ka manoram najara dikhai deta hai...Shahjahan issi khidki se Taj ko banta dekhte the...
Lal Kila...puri tarah lal pathhro se bana hai...bahut hi vishal hai...
Kile ke bahar bane restaurant me humne lunch kiya...phir Taj ki or nikal pade...
Taj...uske pravesh dwar se bahut dur...rikshe se jana padta hai...andar auto le jane ko manai hai...auto ke dhuwe se Taj ke paththaro pe daag padne ka khatra jo hai...
Garm sangmarmar pe nange pair chalna pada...jaan hi nikal gayi...
Taj...sundarta evum pyaar ka pratik...
Photography ki...Taj ke kalash pe hath bhi rakha... ;) I mean...Taj ke kalash ke upar hath rakh ke trick photography ki...
Taj ke pass ki hariyali par...ped ki chhav me kuch der baithe...uske baad hume railway station pahuchna tha...train Goa Express hume lene thik 6 baje jo aane wali thi...
Samay ki kami ke karan hum log 1-2 points nahi dekh paye...
Sabke liye...bahut sara Agra ka petha kharida...Station ke ComSum me maine aur Nikhil ne dosa liya...sabne thandi lassi li...train aayi...humlog sawar huye...
Hum log...humara safar khatm karke...apne Ghar ki aur wapsi kar rahe the......
Posted by
amol
at
3:36 AM
1 comments
Krishnam Vande Jagatguru!!!
24.06.2007
Subah ready huye...break fast kiya...nikale bus dhundhne...aashram se nikalte hi bus mil gayi...ticket tha Rs. 100...
Sabse pahle hum pahuche...Radhakund...kund ke darshan kiye...lassi pi...
Agla padav tha...Giriraj ji...
Giriraj Dharan ki Jay!!!
Girirajji ki Parikrama ka apna alag mahatva hai...itni badi parikrama puri karne me kai din lagte hai...Giriraj ji ki ek Shila rakhi hai yahake mandir me...humne usiki parikrama ki...
Wahase nikalkar...hum pahuche Barsane...yahaka mandir bahut hi uchai pe hai...budhe logo ke liye doli ki suvidha upalabdha hai...175 payriyan chadh ke hum log darshan ke liye pahuche...wapsi ke samay lassi ka aanand liye...kuch thandak mili...
Is bus ka aakhri stop tha...Nandgaon...mandir me darshan kiye...waha ki kahani suni...aur chal diye...
Phogla aashram pahuche...bhojan kiya...thode vishram ke baad ek auto me baithke pahuche Matura...
Mathura me sabse pahle Krishna Janmbhumi pahuche...pravesh dwar pe bahut bhid thi...bhid ke bich me Hari poshakh pahne military adhikari bhi the...kadi suraksha thi waha...har aadmi ko 3 log aur 2 machines check karti thi...
Krishna Janmabhumi ka Vishal Pravesh Dwar
Yaha par...kai chhote mandir...ek gufa me basaye gaye hai...wo jail jisme Krishnaji ka janm hua tha...wo bhi vyavasthit hai...
Nand ghar aanad bhayo Jai Kanhaiyyalal ki!!!
Yaha ki Radhe-Krishna ki jhanki bahut hi sundar lagi...camera bahar hi rakhwaya gaya tha...so sundarta ko kaid na kar saka...
Mandir se nikalke chaat ka aanand liya...UP ki chaat aur MH ki chaat...bahut fark hai...UP ki chaat ki baat kuch aur hi hai...
Iske baad Dwarkadhish ke Mandir pahuche...ye mandir bahut hi bhid wale sthan pe hai...ek to bahut bada market...aur chhoti si galli...bhid to hogi hi...
Mandir ke darshan kiye...mummy ne ghar ke Kanha ke liye mukut liye...
Mandir ke pass hi me...Vishram ghat hai...Yamunaji ke darshan kiye...boating ka maja liya...Yamuna ji ki aarti dekhi...
Ab phirse apne padav pe lautna tha...Vrindvan ke Phogla aashram........
Posted by
amol
at
2:32 AM
1 comments
Jai Shri Krishna!!!
23.06.2007
Hey Krishna! Karunanidhe DinBandhu Jagatpate!!!
Raat bhar ke safar ke baad hum log pahuche Krishna Janmabhumi Mathura...Mathura ke mukable jyada mandir Vrindavan me hai...to hum log a auto se Vrindavan ke liye nikale...Mathura-Vrindavan ki duri kuch 15km ki hi rahi hogi...
Vrindavan me Phogla Ashram jo ki Raman Reti par sthit hai me aashray liya...ready hokar lunch kiye...bahut thake huye the to thodi neend bhi li...uske pashchaat 2 rikshe thahra ke hum log nikle Vrindavan ghumne...
Vrindavan ke rikshaws kuch ajeeb hi lage...ek dum chhote chhote...seat to itni chhoti ke 2 aadmi bhi thik se na baith sake...aur to aur in rikhsaw me samne ki patli bhi nahi hoti...in rikhe walo ki 1 aur visheshta tum ko batadu...in rikhaw me ghanti nahi hoti...jab bhi koi bich me aaye...to ye log Radhe, Radhe aisi aawaj laga dete hai...
Kya kahenge aap isse...??? Mai to isse aseem bhakti evum nishtha hi kahunga...
Rikshaws me baithkar hum log ek ke baad ek mandir dekhne nikal pade...Vrindavan ke vividh mandir iss prakar...
1. Pagal Baba Ashram
2. Banke Bihari Mandir (Yaha Kanha ki Baal Murti ke darshan liye jaa sakte hai...Kanha ko najar na lage isliye mandir ka parda thode thode antaral ke baad band kiya jata hai...)
3. Radha-Raman Mandir
4. Radha-Damodar Mandir (Iss Mandir ki Parikrama lagane pe Govardhan Parvat ki parikrama ka phal milta hai...)
5. ISKCON Temple
6. Rang Mandir
7. Shish Mahal
8. Nidhi Wan
9. Govindji Mandir
10. Radha Rani Mandir
11. Kadam Ped
12. Radha Tila
Tedhe khambo wala Radha-Govind Mandir
In sab mandiro ke darshan lete huye...Makhan Mishri...Lassi...Maal Pua...Rabri ka aaswad to hum le hi rahe the...
Radhe-Krishna ki sajeev mudraye agar aapko dekhni ho to ISKCON mandir to aapko jana hi padega...koi bhi ISKCON Mandir lo...jaise Delhi...Mumbai...ya phir Vrindavan...in mandiro ki shobha bahut hi nirali hoti hai...yaha ke bhajan kirtan me badhiya aanand bhi aata hai...
Haan...Vrindavan me bandaro bahut hai...khabardar...agar aapke pass Mobile, Chashma ya goggle hai to chhipa lijiye...bandar log rahne nahi denge...Radhe-Govindji ke mandir me ek bandar ne Papa ke khande pe chadh Papa ka chashma leke chala gaya tha...
Ashram pahuche...dinner ka mood to kisi ka tha nahi...dudh liya aur so gaye........
Posted by
amol
at
1:06 AM
0
comments