powered by Answers.com
Spring of Thoughts: October 2006

Monday, October 16, 2006

The WET Excursion continued...

Gaate...gungunaate...masti ke samandar me gota lagate hue...humne...Sinhagad se Paanshet ka rasta tay kiya...waha pahuchte hi...
PAANSHET dam ka vistrut jalashay...uske piche Vrikshaachhadit Harit pahadiya...aisa manohari drishya...aankho me sama gaya...

AUR...achanak...baarish ki phuhare padne lagi...jab se hum Pune se nikale the...tab hi se...mann
me ek tamanna thi...ke thodi si baarish aani chahiye...aur NISARG ne humari ye hasrat bhi puri
kar di...

PYAAR ki KASHTI me...LEHRO ki MASTI me...PAWAN ke SHOR-SHOR me...CHALE HUM JOR-JOR me...GAGAN se DOOOOOOR...

Pahle Motor Boat me...ek dusre ke upar paani uchhalte hue...ek baar me mann nahi bhara to...phir Speed Boat me...Shor machate hue...humne boating ka mazza liya...



Ghadi...hume wapsi ka aadesh de rahi thi...to phir Chay Biscuits lekar hum log nikal pade apni manzil ki or...

Raste me KHADAKWASLA dam bhi padta hai...shaam ke samay waha par achchhi khasi bheed umad padti hai...aur ha...PUNE ke love-birds ki sabse PYAARI jagah...KHADAKWASLA...

Kuch der ke liye hum log waha ruke...bhune hue SWEET CORN ko chakha aur phir nikal gaye SWARGATE ki or...wahi jaha se humne iss suhane safar ki shuruwat ki thi.......

Click Khadakwasla to know more...

Hum laut rahe the...yaadon ko sanjoye hue...Paani...josh...phurti...ulhas aur pyaar me tar-b-tar hokar...aur sahi mayno me WET Escursion ko pura kar...mann me ek aas liye...ke...hum phir milenge...kisi or weekend...kisi aur jagah...kuch aur dosto ke saath jo iss excursion me shaamil nahi ho paye the......

Photo Gallery

Courtesy :
Shiv Manakshe...For providing us with a high resolution Black Box...jise log DigiCam kahte hai...so dat we could cherish those moments...
Thank you very much Shiv...we are highly obliged...

The WET Excursion continued...

Humara karwan nikal pada SINHAGAD ke manohari vatavaran ka luft uthane...aur hum to tech-savvy hai hi...to saath me DigiCam namak upkaran bhi saath le hi gaye the...

Ubali hui moong phalli...jisme Priya ke anusaar namak kam tha...Neebu Paani...jo maine nahi piya tha...Namak aur Mirch lagakar LAAL ki hui MITHI kairi...AMRUD...aur Malai KULFI in sab ka anand lete hue humari toli aage badhte gayi...

Average 2 Photos per minute ki gati se humara DigiCam in yaadgar palon ko kaid kar raha tha...

Wakai...SINHAGAD...outing ke liye lajwaab jagah hai...waha ka vaatavaran...Thakan ko bhula deta hai...aur hume Chusti Phurti se bhar deta hai...Aisa lagta hai...mano Badal humare bich se hokar guzar rahe ho...Hare Rang ke natural galicho pe chalne ka mazzzza to kuch aur hi hai...

Amriteshwar mandir...Kalyan Darwaja...WIND POINT jahaki sheet lahroko chhodkar nikalane ka mann hi nahi ho raha tha...in jagah par haajri lagate hue...hum pahunche ek Jhopadi numa Hotel...




Jara giniye to sahi...kitne vyanjan hai humari plates me...chalo mai hi bata deta hoon...Bhakri yaneki roti...Pithla matlab besan jise Jhunka bhi kaha jaa sakta hai...Dahi jo mitti ke Kulhad me diya gaya hai...Laal rang ki tikhi chatni jise Kharda kaha jaata hai...Hari mirch ka Thecha...Taak matlab Chaach...aur ALOO PYAAZ ke pakode...ye hai SINHAGAD ka trade mark menu...

AUR ha...iske taste ke baare me mai kya kahu...? Aap iska andazaa humari photo dekh kar laga sakte hai...

Itna tasty khana ho...to PAAN to hona hi chahiye...Right???...Sinhagad apne paryatakoka khayal puri tarah rakhta hai...Banarasi lo...ya Calcutta mitha patta...koi bhi milega...humne Banarasi liya...Khaike paan banaras wala...

Phir hum log chal diye apne agle padav PAANSHET ki or...jo humare intezaar me palke bichaye baitha tha...

PAANSHET...Sinhagad se 20-25 ki duri par banaya gaya ek DAM hai...jaha par aap boating ka mazza le sakte hai...saath hi paanshet ko nisarg ki hariyali ka vardaan bhi prapt hai...

Click Panshet to know more...

to be continued...STAY TUNED!!!

Wednesday, October 11, 2006

The WET Excursion

Nokia 6610i...mera pyaara mobile handset...har din ki tarah chilla raha tha...Mujhe jagane ke liye...wo uska roj ka kaam hai... Maine jaise taise uthakar usse band kiya........

Arrrre....aaj to Sinhagad jana hai...VOW!!!...ye khayal hi mujhe Tazgi...josh aur dum khum se bhar gaya.....

To din tha...8 Oct'06, samay 9 bajkar 31 minutes...hum sabhi 8 log...Chamchamati Safed TATA SUMO jo humara SWARGATE pe intezar kar rahi thi...usme SWAR hue...

Is tarah...humara COrpOrates ka Versatile OCTATE nikal pada...SINHAGAD aur PANSHET ki sair karne...Corporate jungle ki chakachaundh se dooor....bahut DooooooooooooR......

Phir shuru hua...baato ka silsila...sabhi log muddat ke baad mil rahe the...koi dusro ka haal hawal puch raha tha...to koi dusro ki taang khichne me mashgul tha...aur humare Driverji apna kaam bakhubi nibhae ja rahe the...

Baton hi baton me...humari iss PYAAR ki KASHTI pe...GUNU...BHOLI...DOST aur GUEST ....ye sab kab sawar hue...pata hi na chala...

Aur phir...SAHYADRI ki harit vadiyon ke bich se nikli ghumavdar ghati ko paar karte hue...Overtake karne wale ko ghurte hue...aur pichhe chhutne wale ko Khijaate hue...humara jattha pahuncha apne pahle padav SINHAGAD pe...














Dil CHaHta Hai
...kabhi na beete...Chamkile din...o...o...

Clockwise from top-left...Ansoo-the Timer...Bagdenchi PRIYA...Rocky Sahay...Flowery Nehal...Deep T...me...Deepa Sardarni...and...BINDOO...

These names have some significance...and are based on certain incidenses that ocurred through out The WET Excursion...



Looking through the Historical Perspective

Sinhagad...previously known as KONDHANA...is an ancient fort...now it is seen as a nearest hill station and a favourite place for trackers around PUNE...

It was renamed to SINHAGAD...by Chatrapati SHIVAJI...in the memory of Tanaji Malusare...a brave mawla (worrior) in his sainya (army)...who lost his life while capturing this fort...

Gad aala, pan Sinha gela
(FORT has been captured, but LION has been lost)

Bharat Bhumi ki raksha karne wale aise Shur veero ko humara SALAAM!!!


Click Sinhagad to know more...

to be continued....STAY TUNED!!!

My friends' blogs Spring of Thoughts Dreams of Life Amazing facts